Shab e Barat Ki Raat 3 Bar Surah Yaseen Parhne Se Kya Hoga || Khas Fayde Or Fazilat
Surat yaseen ko Qur’an Shareef ka dil kaha gaya hai ye har momin ko malum hai. Agar koi shakhs rozana is paak ayat ki tilawat karta hai to us shakhs ko bahut se faiz aur savab pahuchega Insha ALLAH. Hadees Shareef mein Surat Yaseen ke kayi fazail beyan kiye gaye hain. Jaise:
Chaar Qur’an Parhne Ka Aala Savab
-Jis kisi shakhs ne ise ek bar parha use Insha ALLAH char Qur’an Shareef parhne ka savab milega.
Qubooliyat Hajat Ke Liye Behatreen Amal
-Ata bin Abi Rabah RadiALLAHU Anhu se riwayat hai ke Hazrat Mu’hammad SallALLAHU Alayhe Wasallam ne farmaya, “Jo shakhs rozana din ke aghaaz mein Surah Yaseen parh le uski tamam haajatein puri hongi.”
-Aur jo koi shakhs shuru raat mein ise parhega wo subah tak khush-o-khuram rahega.
-Rozana kisi ek namaz ke baad bhi Surat Yaseen ki talawat ki ja sakti hai.
Har Qism ki Hajat ke liye Afzal Tareen Wazifa
-Surat Yaseen mein 4 martaba ‘Ar-Rahmaan’ ka lafz aya hai aur 3 martaba lafz ‘ALLAH’ aya hai. Isi tarha Surah Mulk mein bhi lafz ‘Ar-Rahmaan’ 4 martaba aur lafz ‘ALLAH’ 3 martaba aya hai. In dono suraton ka ye amal bohat mufid aur mujarrib mana jata hai.
Amal Karne ka Tareeqa
Ye amal kisi bhi din aur kisi bhi munasib waqt pe shuru kar sakte hain.
Sab se pahle ache tareeqe se wuzu kijiye;
Surat Yaseen ko is tareeqe se parhna shuru kijiye ke lafz ‘Ar-Rahmaan’ jab aye to apne dahne (sidhe) hath ki ek ungli band kar lein aur lafz ‘ALLAH’ jis jagah aye wahan bahne (left) hath ki ek ungli band kar lein. Isi tareeqe se Surat mukammal karen. Surat khatam hone par ap ke dahne hath ki 4 aur bahne hath ki 3 ungliyan band hongi.
Ab Surah Mulk kuch is tarah se parhna shuru karen ke jab lafz ‘Ar-Rahmaan’ aye to dahne hath ki ek ungli khol lein aur lafz ‘ALLAH’ aye to bahne hath ki ek ungli khol lein. Is tarah Surat mukammal hone par apki sab ungliyan khul chuki hongi.
Ab apni hajat ke liye khoob dil se du’a maangein.
Insha ALLAH, apki du’a lazman qubool hogi.
Ghaur Talab: Khwateen haiz/mahwari ke dino mein ye amal qatayi na karen.

Shab e Barat Ki Raat 3 Bar Surah Yaseen Parhne Se Kya Hoga || Khas Fayde Or Fazilat totkay in urdu | |
58 Likes | 58 Dislikes |
2,607 views views | 508K followers |
Education | Upload TimePublished on 19 Apr 2019 |
Không có nhận xét nào:
Đăng nhận xét